Sunnats From Faizan-E-Sunnat
1. Har naik aur jaiz kam Bismillah padhkar shuru karna chahiye
Albatta Haram wa Najaiz kamse kalb Bismillah Sharif hargiz na padhi jaye
2. Jab kisi Musalman Bhai se Mulakat ho to unhe Salam karna Sunnat hai
3. Musafah is tarha Sunnat hai jab do Islami Bhai aapas me Mulakat kare to pehle Salam Kare Phir Musafah Kare
4. Musafah karte waqt Sunnat ye hai ki Hath me Rumal wagera na ho, Dono Hath khali ho aur Hatheli se Hatheli Milni chaiye
5. Muskurakar Aur Khanda peshani se Baat Karna Sunnat hai
6. Chilla chilla kar bat karna jaisa ki aaj kal Be Taqallufi me Dost aapas me karte hai Khilaf-E-Sunnat Hai
7. Chink aane par "Alhamdulillah" kehna Sunnat Hai
Sunnewale par wajib hai ki Fauran "Yarahmakallah" kahe. Aur itni aawaz me kahe ki chinknewala khud sunle. Agar jawab me takhir kardi to gunahgar hoga. Aur sirf jawab denese Gunah Muaaf nahi hoga Tauba bhi karni hogi
(Bahar-E-Shariat)
8. Kurate me Sunnat ye hai ke Daman ki Lambai Aadhi pindli tak ho aur Aastin ki Lambai Jyada se jyada Ungliyo Ke Pore tak aur chaudai Ek Balisht Ho
9. Tahband bhandhna Sunnat Hai
Pajama pehenna bhi jaiz hai ki Sarkar-E-Madina S.A.W ne pasand farmaya hai Aur Sahaba-E-Kiram ne pehna bhi hai.